Jane wo kaisa lamaha tha...........
Unknown
August 27, 2018
0 Comments
Jane wo kaisa lamha tha,
jab dil me tere liye panaha tha,
jab se diya hai dard tune is dil ko,
to koi lamaha aaya aur na is dil me,
kisi ke liye panaha aaya.
Dhundta rahata tha pagalo ki tarah tujhe,
sochta tha milegi tu ab mujhe,
par mil kar bhi raas na aaya is dil ko,
jab se diya tha dard tune.
Sochta rahata tha shaamo shubha tere hi bare me,
ki fursat se banaya hoga khuda ne tujhe,
ab afsos hota mujhe apne soach par,
jab se diya hai dard tune.
Socha tha khuda hai is dharti par jo diya tha tere jaisa saath,
par ab samajh aaya kyu na khuda rahata hamare saath ,
agar na diya hota dard tune is dil ko,
to aaj khuda bhi rahata hamare saath.